sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe bula raha hai samundar phir apne pas mujhe hawas ka shisha-e-nazuk hun phut jaunga na mar khinch ke is tarah sang-e-yas mujhe main qaid mein kabhi diwar-o-dar ki rah na saka na aa saka kabhi shahron ka rang ras mujhe main tere jism ke dariya ko pi chuka hun bahut sata rahi hai phir ab kyun badan ki pyas mujhe mere badan mein chhupa hai samundaron ka fusun jala sakegi bhala kya ye khushk ghas mujhe girega tut ke sar par ye aasman kabhi darae rakhta hai har dam mera qayas mujhe jhulas raha hun main sadiyon se gham ke sahra mein magar hai abr-e-gurezan ki phir bhi aas mujhe