sath kya sach ka de diya hum ne sab ko dushman bana liya hum ne kahne ko zindagi guzari hai kuchh hi pal the jinhen jiya hum ne waqt ne sare faisle thope apni marzi se kya kiya hum ne ham-sari hum se na kar ai suqraat zahr har roz hai piya hum ne jate jate hai ye malal 'sada' aa ke duniya mein kya kiya hum ne