sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana allah allah tera bazm se uth kar jaana rahbari kar ke meri khizr bhi chakkar mein pade ab unhen jalwa-gah-e-yar mein akasr jaana dagh-e-kam-hauslagi dil ko gawara na hua warna kuchh hijr mein dushwar na tha mar jaana sadgi se ye guman hai ki bas ab rahm kiya mutmain hun ki mujhe aap ne muztar jaana nashshe mein bhi tere 'bekhud' ki talli na gai baada-e-hosh-ruba ko mai-e-kausar jaana