sau bar us se lad ke bhi har bar haarna bazi ho ishq ki to mere yar haarna us se shikast khane mein har bar lutf hai ek bar haarna ho ke sau bar haarna wo dil pe hath rakh de agar pyar se kabhi dil ka yahi taqaza hai dildar haarna duniya mein raushni hai wafaon ke nur se ban kar kisi ke tum bhi talabgar haarna jin ki duaon se teri hasti kamal hai man-bap ke liye to ye sansar haarna hai lutf zindagi ka mohabbat ki qaid mein pahlu mein un ke ho ke giraftar haarna rakhna bulandiyon pe hamesha waqar ko tum jaan haarna nahin dastar haarna aisa bhi waqt aaya hai ahd-e-shabab mein ek phul ke liye koi gulzar haarna ilm-o-adab mein hum ne ye sikha hai 'sahiba' rakh kar qalam ke samne talwar haarna