sau ki ek baat main kahi to hai yani jo kuchh ki hai wahi to hai did-e-wa-dida ko ghanimat jaan hasil-e-zindagi yahi to hai tere didar ke liye ye dekh jaan aankhon mein aa rahi to hai dah gaya ho na khana-e-dil aaj sail-e-khun-chashm se bahi to hai wan bhi rahat ho ya na ho dekhen ek musibat yahan sahi to hai mujh sa uryan kahan hai gul us ke rang ke bar mein ek yahi to hai tere ahwal se 'hasan' bare us ko thodi si aagahi to hai