sau raha tha to shor barpa tha uth ke dekha to main akela tha khak par mere khwab bikhre the aur main reza reza chunta tha chaar jaanib wajud ki diwar apni aawaz main hi sunta tha umr bhar bund bund ko tarse samne ghar ke ek dariya tha lab-e-dariya khade rahe donon wo bhi pyasa tha main bhi pyasa tha