saubat ka badal aasudgi ka pal nahin pakDa

saubat ka badal aasudgi ka pal nahin pakda
safar mein dhup ke hum ne kabhi chhagal nahin pakda

kahin hum se ziyaada aur ko un ki zarurat ho
yahi kuchh soch kar hum ne kabhi baadal nahin pakda

ki jab se murdon ki saudagari hath aa gai us ke
shikari ne palat kar phir kabhi jangal nahin pakda

parinde jo gae laute nahin phir aashiyanon mein
darakhton ne bhi us ke baad koi phal nahin pakda

sada bhigi rahin khauf-e-khuda ki raushnai se
meri aankhon ne duniya ka diya kajal nahin pakda

qanaat aaj par ki hai parindon ki tarah main ne
mere hathon ne 'rahmani' kisi pal kal nahin pakda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close