sawad-e-shahr mein thodi si ye jo jannat hai hamare ahd ke namrud ki wirasat hai tamam mulk mein us ki ghazal ki shohrat hai hamare shahr mein ek shakhs shad-o-hasrat hai ghazal ghazal nahin fan ki azim daulat hai ye 'mir'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal' ki amanat hai na moajiza koi ilham na risalat hai yazid-o-shimr hain lakhon khuda ki qudrat hai abhi hai der zara dhup ke utarne mein fasil-e-shab se bhi unchi hisar-e-zulmat hai ajib waqt hai ab doston ke chaqu ko mere qalam ki nahin ungliyon ki hasrat hai