sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh na jaane kyun thaka thaka udas udas tha charagh phir is ke baad umr-bhar ye justuju rahi mujhe ki ek shab guzar ke kahan chala gaya charagh wo kab se tha wo kaun tha koi to mere sath tha mere safar mein yak-ba-yak kahan se aa gaya charagh bujha sake to ab tujhe meri sala-e-am hai fasil-e-jaan pe ai hawa jala ke rakh diya charagh main khugar-e-sitam bhi hun ada-shanas-e-gham bhi hun majal kya hawa-e-gham bujha sake mera charagh wajud-e-gham bacha liya ye baat koi kam nahin hawa-e-gham ke samne laraz ke rah gaya charagh