sawad-e-sham pe suraj utarne wala hai thahar bhi ja ki ye manzar ubharne wala hai milenge dagh sitare charagh-e-shabam bhi ghamon ki raat ka chehra nikharne wala hai chalo julus ki surat mein zindagi walo zara si der mein lamha guzarne wala hai koi to dahr mein zinda rahe khudawanda tere jahan mein insan marne wala hai wo apni zat ke manshur ke tanazur mein ek ehtimam se elan karne wala hai 'nisar' zist ke dozakh mein ji raha hai magar wo apni aag ke shoalon se darne wala hai