sawad-e-sham se Darta hua nazar aaya

sawad-e-sham se darta hua nazar aaya
farogh-e-mehr bhi marta hua nazar aaya

nasim-e-subh chali aur fishaar-e-rang-o-bu
kahin qarar na karta hua nazar aaya

zamin pe rakh udi jab bhi khema-gahon ki
ufuq pe khun bikharta hua nazar aaya

har ek phul dikhai diya kaman-ba-dast
har ek khar nikharta hua nazar aaya

na nind aai na koi sitara-e-kam-khwab
bulandiyon se utarta hua nazar aaya

kabhi kabhi to meri jalwa-gah-e-hairat mein
khud aaina bhi sanwarta hua nazar aaya

charagh bujhne lage aur meri aankhon ko
badan mein koi utarta hua nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close