sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya tere wajud mein jo ek main tha wo kidhar gaya tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-agahi tamam umr ka safar nigah se guzar gaya chale to hausla jawan tha mauj-e-gul thi aarzu jidhar bhi aankh uth gai saman nikhar nikhar gaya kabhi andheri shab mein ek muhib dasht samne kabhi mah-e-tamam sath sath ta-sahar gaya har ek daur munfarid tha ab bhi dil pe naqsh hai gaya to yun laga ki ji ka ek hissa mar gaya na yaad ki chubhan koi na koi lau malal ki main jaane kitni dur yunhi khud se be-khabar gaya nigah-e-dost dil-nawaz bhi girah-kusha bhi thi khula jo dil pe zindagi ka bhed ji thahar gaya jahan wajud mein tha main ab ek aur nam hai ki mera bigda hua kaam us ke lutf se sanwar gaya wo sail-e-nur shab ki ibtida se ta-sahar gaya dil us ke bal pe apne bahr-e-gham ke par utar gaya