sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-khizan se utha ye nafa kam to nahin hai jo is ziyan se utha safina-rani-e-mahtab dekhta koi ki ek talatum-e-zau ju-e-kahkashan se utha ghubar-e-mah ki maqsum tha khalaon ka bikhar gaya to tere sang-e-astan se utha gham-e-zamana tere naz kya uthaunga ki naz-e-dost bhi kam mujh se sargiran se utha mere habib bahut kam-sabaat hai duniya mere habib bas ab hath imtihan se utha bayan-e-laghzish-e-adam na kar ki wo fitna meri zamin se nahin tere aasman se utha kahan chale ho liye naqd-e-jaan-o-dil 'sahba' ki karobar-e-wafa shahr-e-dil-baran se utha