sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge kaliyan rang mein bhigengi phulon mein ras aaenge han wo milne aaenge rahm bhi kuchh farmaenge husn magar chutki lega phir qatil ban jaenge nale khoe dhundalke mein sham hui raat aa pahunchi prem ke sone mandir mein aakhir wo kab aaenge hasti ki bad-masti kya hasti khud ek masti hai maut usi din aaegi hosh mein jis din aaenge meri aankhen kuchh bhi nahin tere jalwe jalwe hain tu jab samne aaega parde mein pad jaenge tare kitne hi chhitken jugnu kitne hi chamken shama ki zardi kahti hai raat gae wo aaenge