saya-e-zulf siyah-fam kahan tak pahunche jaane ye silsila-e-sham kahan tak pahunche dur ufuq par sahi pa to liya hai tujh ko dekh hum le ke tera nam kahan tak pahunche ye sisakti hui raaten ye bilakte manzar hum bhi ai saya-e-gulfam kahan tak pahunche na kahin saya-e-gul hai na kahin zikr-e-habib aur ab gardish-e-ayyam kahan tak pahunche hum to ruswa the magar un ki nazar bhi na bachi hum pe aae hue ilzam kahan tak pahunche mutmain garmi-e-ehsas-e-jafa se bhi nahin dil ko pahunche bhi to aaram kahan tak pahunche un ki aankhon ko diye the jo meri aankhon ne kis se puchhun ki wo paigham kahan tak pahunche