sayon se lipat rahe the sae dil phir bhi faza mein jagmagae be-sarfa bhatak rahi thin rahen hum nur-e-sahar ko dhund lae ye gardish-e-rozgar kya hai hum sham-o-sahar ko dekh aae har subh teri nazar ka partaw har sham teri bhawon ke sae hai fasl-e-bahaar ka ye dastur jo aae chaman mein muskurae kya chiz hai ye fasana-e-dil jab kahne lagen to bhul jae tum hi na samajh sake meri baat ab kis ki samajh mein baat aae suni rahi intizar ki raat ashkon ne bahut diye jalae wo din jo bahaar-e-zindagi the wo din kabhi laut kar na aae