sayyaad aa gae hain sabhi ek ghat par uthne lagi hain ungliyan ab meri zat par mausam ka lahja sard hai yaaden bhi talkh hain tanhaiyon ka bojh hai har samt raat par kyun aaj meri yaad bhi aai nahin tujhe kal tak to mera tazkira tha baat baat par ghatte the sath sath kabhi titliyon ke par ab kyun khafa khafa se ho ek mere sath par kyun dil ye be-qarar hai sahab mujhe bata gar rakh diya hai hath ko 'wishma' ke hath par