sayyad tumhaare gham ki kisi ko KHabar nahin

'sayyad' tumhaare gham ki kisi ko khabar nahin
ho bhi khabar kisi ko to samjho khabar nahin

maujud ho to kis liye mafqud ho gae
kin jangalon mein ja ke base ho khabar nahin

itni khabar hai phul se khushbu juda hui
us ko kahin se dhundh ke lao khabar nahin

dil mein ubal rahe hain wo tufan ki al-aman
chehre pe wo sukun hai mano khabar nahin

dekho to har baghal mein hai daftar daba hua
akhbar mein jo chhapna chaho khabar nahin

nok-e-zaban hain tum ko sharabon ke nam sab
lekin nashe ki baada-parasto khabar nahin

kaghaz zamin-e-shor qalam shakh-e-be-samar
kis aarzu pe umr guzaro khabar nahin

'sayyad' koi to khwab bhi tasnif kijiye
har bar tum yahi na sunao khabar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close