saz-e-alam pe dil naghma-sara hota hai

saz-e-alam pe dil naghma-sara hota hai
ai mohabbat ye tere daur mein kya hota hai

phail jati hai fazaon mein udasi ki ghata
ishq jab husn se ro ro ke juda hota hai

hausla did ka hargiz na karen ahl-e-nazar
jalwa-e-husn bahut hosh-ruba hota hai

wo hawas hai jo gila karti hai ranj-o-gham ka
ishq har haal mein raazi-ba-raza hota hai

un ke mubham se ishaaron ka tassur tauba
dil mein kya marka-e-yas-o-raja hota hai

hum jo kahte hain use waqt ka shahkar-e-jamil
baat kuchh bhi nahin lekin wo khafa hota hai

rawish-e-khas pe chalta hun adab mein 'parwez'
mere har sher ka andaz naya hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close