saz-e-hasti ki sada ghaur se sun kyun hai ye shor bapa ghaur se sun din ke hangamon ko be-kar na jaan shab ke pardon mein hai kya ghaur se sun chadhte suraj ki ada ko pahchan dubte din ki nida ghaur se sun kyun thahar jate hain dariya sar-e-sham ruh ke tar hila ghaur se sun yas ki chhanw mein sone wale jag aur shor zara ghaur se sun har-nafas dam-e-giraftari hai nau-giraftar-e-bala ghaur se sun dil tadap uthta hai kyun aakhir-e-shab do-ghadi kan laga ghaur se sun usi manzil mein hain sab hijr-o-visal rah-raw-e-abla-pa ghaur se san usi goshe mein hain sab dair-o-haram dil sanam hai ki khuda ghaur se sun kaba sunsan hai kyun ai waiz hath kanon se utha ghaur se sun maut aur zist ke asrar-e-rumuz aamiri bazm mein aa ghaur se sun kya guzarti hai kisi ke dil par tu bhi ai jaan-e-wafa ghaur se san kabhi fursat ho to ai subh-e-jamal shab-gazidon ki dua ghaur se san hai yahi saat-e-ijab-o-qubul subh ki lau ko zara ghaur se sun kuchh to kahti hain chatak kar kaliyan kya sunati hai saba ghaur se sun barg-e-awara bhi ek mutrib hai tair-e-naghma-sara ghaur se sun rang minnat-kash-e-awaz nahin kal bhi hai ek nawa ghaur se sun khamushi hasil-e-mausiqi hai naghma hai naghma-numa ghaur se sun aaina dekh ke hairan na ho naghma-e-ab-e-safa ghaur se sun ishq ko husn se khali na samajh nala-e-ahl-e-wafa ghaur se sun dil se har-waqt koi kahta hai main nahin tujh se juda ghaur se sun har-qadam rah-e-talab mein 'nasir' jaras-e-dil ki sada ghaur se sun