shab-e-gham hujum-e-alam tauba tauba aur aansu bhi aankhon mein kam tauba tauba shab-o-roz sahba-e-ulfat ki masti haram mein bhi yaad-e-sanam tauba tauba junun be-niyaz-e-makan hai to phir kyon ye takhsis-e-dair-o-haram tauba tauba bhala kya ye ranai-e-dahr hoti na hote jahan mein jo hum tauba tauba do-alam ki daulat mere dil ki qimat kahan ye kahan jam-e-jam tauba tauba nigahen bacha kar wo un ka tabassum karam-koshiyon mein sitam tauba tauba