shab-e-gham yaad un ki aa rahi hai charagh-e-dil ki lau tharra rahi hai bayan-e-dost naseh ki zaban se tabiat aur machli ja rahi hai kahan naqsh-e-kaf-e-pa dhundte ho sada-e-pa to dil se aa rahi hai bade dil-kash hain duniya ke kham o pech nazar mein zulf si lahra rahi hai hui muddat ki dil aatish-zada tha fughan se aaj tak aanch aa rahi hai shab-e-wada khayalon ke ufuq par gurezan si ziya tharra rahi hai mohabbat ko kahan tab-e-nazara jawani aap hi sharma rahi hai sukut-e-sham ki pahnaiyon se sada us ajnabi ki aa rahi hai