shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun tasawwur bandh us ka subh tak kuchh kuchh main kahta hun jo dekho ghaur kar to juz o kul bilkul mujhi mein hai kabhi hun ek hubab-asa kabhi dariya ho bahta hun tere rukne se pyare bas mera dam rukne lagta hai nahin to bolta tu boliyan kin kin ki sahta hun nahin milti hai fursat ghair use ghere hi rahte hain kahun kuchh haal-e-dil bas dhundhta itna subahta hun ye josh-e-ashk ne tufan uthaya hai ki ai 'jurat' kahe hai kishwar-e-tan mein tu koi dam ko dhahta hun