shab ka pahra nahin aaKHiri pahr tak

shab ka pahra nahin aakhiri pahr tak
subh hone ko hai maut ke shahr tak

dubkiyan marta hun sarabon mein main
ret ke hauz par dhup ki mahr tak

shukr karte nahin aarzi ranj ka
sabr karte hain hum daimi qahr tak

hum hi dozakh rawana hue waqt se
hum jo na-waqt se aa gae dahr tak

husn se mawara jism se ma-siwa
tak raha hun use ruh ke zahr tak

pankh phaila rahi hai ghane habs se
lu hawaon ki aati hui lahr tak

khet tak hum use le ke aae nahin
aur farhad ka kaam tha nahr tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close