shab-khun ka khatra hai abhi jagte rahna qatil pas-e-parda hai abhi jagte rahna hain qaid tere bakht ke suraj ki shuaen ye subh ka dhoka hai abhi jagte rahna ladna hai tujhe shab ke andheron se musafir suraj kahan nikla hai abhi jagte rahna phir aane lagi nind mere ham-safaron ko apna to irada hai abhi jagte rahna hai manzil-e-tamir mein tabir ka suraj ye khwab adhura hai abhi jagte rahna ninden to ye kahti hain chalo chain se soen dil sine mein kahta hai abhi jagte rahna ye kah ke mujhe 'raaz' wo sone nahin deta har gam pe khatra hai abhi jagte rahna