shab ki bedariyan nahin achchhi itni mai-khwariyan nahin achchhi wo kahin kibriya na ban jaen naz-bardariyan nahin achchhi haddiyan galne ke gur sikhun sahl-angariyan nahin achchhi kuchh rawadariyon ki mashq bhi kar sirf adakariyan nahin achchhi hath se kho na baithna us ko itni khuddariyan nahin achchhi ai ghafurur-rahim sach farma kya khata-kariyan nahin achchhi