shab ki tariki badhti hi jae kaun aata hai zulf bikhrae jhilmilae sitaron ke jhurmut kis ki palkon pe ashk tharrae us ki jo baat hai nirali hai dil-e-nadan ko kaun samjhae un ko bhule zamana hota hai ashk aaankhon mein phir bhi bhar aae dam-ba-khud sari kaenat hui hum ne wo git pyar ke gae