shafaq bhi khun ki bauchhaar si hai ye surkhi shahr ke akhbar si hai katile hain tere lafz-o-bayan sab qalam khanjar zaban talwar si hai kisi bhi chiz mein lagta nahin dil tabiat bin tere bezar si hai tum apne rup se khud aaina ho tumhaare ru-ba-ru kyun aarsi hai ye sari qurbaten rasmi hain yani dilon ke darmiyan diwar si hai jo hum khud ko muhajir man bhi len to kis ki haisiyat ansar si hai yahan logon ne likh rakkha hai kya kuchh fasil-e-shahr bhi akhbar si hai nazar aaya hai phir 'mahtab' koi tabiat phir junun-asar si hai