shaffaf sath-e-ab ka manzar kahan gaya aaina chur chur hai patthar kahan gaya rauzan khula tha dil ka hawaen bhi aai thin lekin qarib-tar tha jo dilbar kahan gaya ek wo ki jis ko fursat lutf-o-karam nahin ek main ki sochta hun sitamgar kahan gaya sine se us ka hath hatana muhaal tha jate hue wo hath hila kar kahan gaya pahle yahi tadap thi ki dastar kyun giri aur ab ye sochta hun mera sar kahan gaya ghar mein hun aur soch raha hun na jaane kyun diwar-o-dar wahi hain mera ghar kahan gaya sahil pe aa ke sochna 'anjum' fuzul hai kashti kahan gai wo samundar kahan gaya