shaghl behtar hai ishq-bazi ka kya haqiqi o kya majazi ka har zaban par hai misl-e-shana mudam zikr tujh zulf ki daraazi ka aaj teri bhawan ne masjid mein hosh khoya hai har namazi ka gar nain raaz-e-ishq sun aagah fakhr beja hai fakhr-e-raazi ka ai 'wali' sarw-qad ko dekhunga waqt aaya hai sarfaraazi ka