shagufta hote hi murjha gai kali afsos

shagufta hote hi murjha gai kali afsos
bahaar-e-bagh idhar aai udhar gai afsos

ki tum akhir bhi kahne na haal-e-dil pae
zaban band hui baat karte hi afsos

isi bahane se munh dekhte hasinon ka
safa-e-dil na hui apni aarsi afsos

huzur-e-qais pahan kar junun mein kya jaen
qaba-e-tan hai sarapa nuchi khuchi afsos

wabaal-e-dosh raha sar bhi na-tawani se
mila na koi hamein tegh ka dhani afsos

nazar se gir ke ye dil-e-gham hua kahin na mila
junun mein khak bhi chhani gali gali afsos

wo kushtani hain jo mahi ka bhes bhi badla
halal ho gae machhli se bhi chhuri afsos

mazar-e-qais pe aai na ek laila kya
kisi ne baat na puchhi gharib ki afsos

barahnagi ka to marne pe gham nahin lekin
kafan khasut se sharmindagi hui afsos

khizan ke hath se rone ki ja hai khanda-e-gul
bisurti hai ye hansti nahin kali afsos

kise sunaen ye hum rekhta zaban ai 'shad'
janab-e-'mir' na 'mirza' na 'mushafi' afsos


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close