shahab-chehra koi gum-shuda sitara koi hua tulua ufuq par mere dobara koi umid-waron pe khulta nahin wo bab-e-visal aur us ke shahr se karta nahin kinara koi magar giraft mein aata nahin badan us ka khayal dhundhta rahta hai istiara koi kahan se aate hain ye ghar ujalte hue lafz chhupa hai kya meri mitti mein mah-para koi bas apne dil ki sada par nikal chalen is bar ki sab ko ghaib se milta nahin ishaara koi guman na kar ki hua khatm kar-e-dil-zadagan ajab nahin ki ho is rakh mein sharara koi agar nasib na ho us qamar ki ham-safri to kyun na khak-e-guzar par kare guzara koi