shahr-dar-shahr fazaon mein dhuan hai ab ke kis se kahiye ki qayamat ka saman hai ab ke aankh rakhta hai to phir dekh ye sahme chehre kan rakhta hai to sun kitni fughan hai ab ke chand kaliyon ke chatakne ka nahin nam bahaar qafila kal ka chala tha to kahan hai ab ke thi magar itni na thi kor zamane ki nazar ek qatil pe masiha ka guman hai ab ke itna sannata hai kuchh bolte dar lagta hai sans lena bhi dil o jaan pe giran hai ab ke hont sil jaen to kya aankh to raushan hai meri chashm-e-khun-nab ka har ashk rawan hai ab ke khul ke kuchh kah na sakun chup bhi magar rah na sakun kis qadar zaiq mein khalid meri jaan hai ab ke