shahr ka shahr agar aae bhi samjhane ko

shahr ka shahr agar aae bhi samjhane ko
is se kya farq padega tere diwane ko

kya koi khel hai benam-o-nishan ho jaana
waise to shama bhi tayyar hai jal jaane ko

wo ajab shakhs tha kal jis se mulaqat hui
main mila hun kisi jaane hue anjaane ko

ek lamha bhi to bekar nahin kat sakta
ek gutthi jo mili hai mujhe suljhane ko

ye alag baat ki ek bund muqaddar mein na thi
sar pe sau bar ghata chhai rahi chhane ko

sham hone ko hai jalne ko hai sham-e-mahfil
sans lene ki bhi fursat nahin parwane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close