shahr ki likh gaya ek dhuan dastan baam-o-dar ho gae khun-chakan dastan sunne walon ko ho jab giran dastan chhod do phir wahin ho jahan dastan ek hi sab ki rudad hai shahr mein har makin dastan har makan dastan ye to mazi ke auraq batlaenge us ne farda ki likkhi kahan dastan mera aur us ka har raaz ifsha hua jag mein kahta phira raazdan dastan dasht-o-sahra bhi ham-rah chalne lage jab sunata chala sarban dastan tu 'wafa' nukta-chinon ki mahfil mein hai mat suna jaegi raegan dastan