shahr mein hum se kuchh aashufta-dilan aur bhi hain sahil-e-bahr pe qadmon ke nishan aur bhi hain ret ke tude chamak uthte hain jab zulmat mein aisa lagta hai ki kuchh log yahan aur bhi hain kaise manzar the ki shishon ki tarah tut gae magar aankhon mein kai khwab-e-giran aur bhi hain bastiyan dil ki bhi sunsan padi hain kab se ye khandar hi nahin sayon ke makan aur bhi hain shab ke sannate mein chattanon ko dekho ai 'zeb' tum se begana-e-fariyaad-o-fughan aur bhi hain