shahr mein jab bhi zulekha se kharidar aae kitne yusuf the ki khud hi sar-e-bazar aae chhed di qamat-o-gesu ki hikayat hum ne kisi surat se to zikr-e-rasan-o-dar aae jab bhi zindan mein asiron ko mila muzhda-e-gul meri nazron mein tumhaare lab-o-rukhsar aae dusri rah-e-wafa mein koi manzil hi na thi jo teri bazm se utthe wo sar-e-dar aae jab kya tark-e-tamanna ka irada hum ne samne kitne hi tute hue pindar aae hosh-mandon ne saja li gham-e-dil ki mahfil hum se diwane sar-e-anjuman-e-dar aae hum se sikhe koi aadab qadah-noshi ke hum ki maikhane mein ghafil gae hoshiyar aae ghaur se dekh sukhan-fahmon ke chehre 'sarshaar' kitne is shakl mein 'ghaalib' ke taraf-dar aae