shahr se yar sawar hua jo sawad mein khub ghubar hai aaj dashti wahsh o tair us ke sar tezi hi mein shikar hai aaj barafarokhta rukh hai us ka kis khubi se masti mein pi ke sharab shagufta hua hai us nau-gul pe bahaar hai aaj us ka bahr-e-husn sarasar auj o mauj o talatum hai shauq ki apne nigah jahan tak jawe bos-o-kanar hai aaj aankhen us ki lal huin hain aur chale jate hain sar raat ko daru pi soya tha us ka subh khumar hai aaj ghar aae ho faqiron ke to aao baitho lutf karo kya hai jaan bin apne kane so in qadmon pe nisar hai aaj kya puchho ho sanjh talak pahlu mein kya kya tadpa hai kal ki nisbat dil ko hamare bare kuchh to qarar hai aaj khub jo aankhen khol ke dekha shakh-e-gul sa nazar aaya un rangon phulon mein mila kuchh mahw-e-jalwa-e-yar hai aaj jazb-e-ishq jidhar chahe le jae hai mahmil laila ka yani hath mein majnun ke naqe ki us ke mahaar hai aaj raat ka pahna haar jo ab tak din ko utara un ne nahin shayad 'mir' jamal-e-gul bhi us ke gale ka haar hai aaj