shakh-e-buland-e-baam se ek din utar ke dekh ambar-e-barg-o-bar-e-khizan mein bikhar ke dekh mitti ke sadgi mein alag sa jamal hai rangon ki nikhaton ki qaba tar karke dekh imkan ki wusaton ke ufuq zar khul gae par tolne lage hain parinde sahar ke dekh zulmat ki kashtiyon ko bhanwar hai ye raushni dar khul rahe hain danish-o-ilm-o-khabar ke dekh kya jaane gham ki aanch ka partaw kahan pade angdai le rahe hain hayule sharar ke dekh sangin hadson ki hikayat tawil hai koh-e-giran ki baat na kar zakhm sar ke dekh apni basaraton ko jasarat ki aanch de manzar isi nazar se jahan-e-digar ke dekh pindar-e-sar-nigun ka junun mo'atabar nahin bujhte hue charagh ki lau tez karke dekh 'akbar' nida-e-shab ko nawa-e-sahar samajh lau de rahe hain hausle ahl-e-nazar ke dekh