sham aai to koi KHush-badni yaad aai

sham aai to koi khush-badni yaad aai
mujhe ek shakhs ki wada-shikni yaad aai

mujhe yaad aaya ki ek daur tha sargoshi ka
aaj usi daur ki ek kam-sukhani yaad aai

masnad-e-naghma se ek rang-e-tabassum ubhra
khilkhilati hui ghuncha-dahni yaad aai

lab jo yaad aae to boson ki khalish jag uthi
phul mahke to mujhe be-chamni yaad aai

phir tasawwur mein chali aai mahakti hui shab
aur simti hui be pairahani yaad aai

han kabhi dil se guzarta tha julus-e-khwahish
aaj usi tarah ki ek nara-zani yaad aai

qisa-e-rafta ko dohra to liya 'azm' magar
kis masafat pe tumhein be-watani yaad aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close