sham-e-furqat ke sitare to asar tak thahre han wafadar the aansu jo sahar tak thahre jalwe dekhe to malak aur bashar tak thahre sajde karne ke liye shams-o-qamar tak thahre dastan rang par aai to zamana badla dubte tare bhi aaghaz-e-sahar tak thahre kah de khilti hui kaliyon se koi gulshan mein itna halka ho tabassum ki nazar tak thahre jagmagati hui maujon ka to kya zikr koi kashti aate hue dekhi to bhanwar tak thahre