sham-e-gham ki sahar nahin aati raushni mere ghar nahin aati aadmi to dikhai dete hain aadamiyyat nazar nahin aati us taraf hai guzar basar kaisi kuchh adam se khabar nahin aati guzri saat ka intizar na kar wo kabhi laut kar nahin aati main bana hun kuchh aisi mitti se dard mein aankh bhar nahin aati