sham ke sath jala ek diya aahista bujh na jae kahin ai baad-e-saba aahista yaad-e-ayyam ki talkhi bhi mili hai us mein jam honton se lagao to zara aahista zakhm hi zakhm hai sar-ta-ba-qadam jism mera phut jaun na kahin dast-e-hawa aahista baad muddat ke abhi aankh lagi hai gham ki koi nauha koi naghma ki sada aahista tut jaen na kahin zakhm-e-jigar ke tanke ai masiha zara takmil-e-wafa aahista maslahat-kesh kharabe mein shuur-e-hasti jurm aahista abhi harf-e-jafa aahista khwab ki wadi-e-gulnar se jagi 'husna' koi deta hai mujhe jaise sada aahista