sham ke waqt Thikane pe nahin aata tha

sham ke waqt thikane pe nahin aata tha
wo parinda jo nishane pe nahin aata tha

ummati gher ke late the usi ghar ki taraf
dukh mohammad ke gharane pe nahin aata tha

meri khamoshi use khinch ke le aai hai
wo jo aawaz lagane pe nahin aata tha

jo hamein ab pas-e-diwar nazar aata hai
kabhi diwar girane pe nahin aata tha

is se pahle bhi bahut jhagda hua karta tha
chhod jaane ke dahane pe nahin aata tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close