sham khamosh hai pedon pe ujala kam hai laut aae hain sabhi ek parinda kam hai dekh kar sukh gaya kaise badan ka pani main na kahta tha meri pyas se dariya kam hai khud se milne ki kabhi ganw mein fursat na mili shahr aae hain yahan milna-milana kam hai aaj kyun aankhon mein pahle se nahin hain aansu aaj kya baat hai kyun mauj mein dariya kam hai apne mehman ko palkon pe bitha leti hai muflisi jaanti hai ghar main bichhauna kam hai bas yahi soch ke karne lage hijrat aansu apni lashon ke muqabil yahan kandha kam hai dil ki har baat zaban par nahin aati hai 'fahim' main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai