sham se hum ta sahar chalte rahe chur the thak kar magar chalte rahe sang ho jate jo mud kar dekhte ungliyan kanon mein dhar chalte rahe aasman tha aag patthar thi zamin thi kahan ja-e-mafar chalte rahe roz dube roz ubhre hum magar surat-e-shams o qamar chalte rahe sang-bari yun to hum par bhi hui hum dhake hathon se sar chalte rahe dar badar ki khak thi taqdir mein hum liye kandhon pe ghar chalte rahe hum bhi hain 'bilqis' majruhin mein hum pe bhi tir o tabar chalte rahe