sham tak phir rang khwabon ka bikhar jaega kya raegan hi aaj ka din bhi guzar jaega kya dhundna hai ghup-andhere mein mujhe ek shakhs ko puchhna suraj zara mujh mein utar jaega kya manta hun ghut raha hai dam tera is habs mein gar yahi jine ki surat hai to mar jaega kya ain mumkin hai baja hon tere andeshe magar dekh kar ab apne sae ko bhi dar jaega kya soch le parwaz se pahle zara phir soch le sath le kar ye shikasta baal-o-par jaega kya ek hijrat jism ne ki ek hijrat ruh ne itna gahra zakhm aasani se bhar jaega kya