shama jale hai mahfil mahfil khak-basar parwana hai is duniya mein dard paraya sach hai kis ne jaana hai baat faqat itni hai waiz dur ka dhol suhana hai warna jannat apni jagah hai mai-khana mai-khana hai un ke jalwe meri nigahen donon hain kuchh farq nahin man liya unwan alag hain lekin ek fasana hai tark-e-rah-o-rasm-e-wafa ka hai un par ilzam ghalat aaj bhi apni khalwat-e-dil mein un ka aana-jaana hai aate aate aa jaega chain bhi gham ke maron ko bharte bharte bhar jaega dil ka zakhm purana hai 'badr' hamare shisha-e-dil mein hain us ki taswir sabhi jis ko sab kaba kahte hain wo bhi ek but-khana hai