shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha faede ke kaam mein kuchh to ziyan hona hi tha kis ko khush aati hamari chhat ki saya-afgani ghar banaya tha to phir be-khanaman hona hi tha hum natije ke liye ta-zindagi baithe rahe ye kahan samjhe ki pahle imtihan hona hi tha wadi-e-gul se nikalna ek majburi sahi shahr-e-na-pursan mein hum ko raegan hona hi tha