shama raushan hai hamari aah se lau lagae baithe hain allah se chalte hain kya-kya wo rasta kat kar jab guzarte hain hamari rah se kyon na rakkhun main tabarruk ki tarah gham mila hai ishq ki dargah se ek bose par hamein talen na aap kuchh alawa dijiye tankhwah se mang kar tujh ko bahut nadim hua mangna tha aur kuchh allah se khubsurat ho ke tum ladne lage bahs hai din raat mehr-o-mah se tu ne waiz zindagi dushwar ki kyon kiya waqif khuda ki rah se